taabeer karu tere husn ki itni ijazat nahi,
ahsaan mayyassar inaayat unki aankhon ki hi sahi
wabasta teri rooh se mai iss qadar,
seher mein jaise dekhu aaftaab doobta hua
musalsal qadam darr pe tere jo tham gaye,
vasl ki misaal ahsaan aur kya du tujhe?
shiddat-e-ishq mein dooba dil mera yoon,
aabshaar sa girne laga tere qadmon mein
aashna hua tera khyaalon mein mai,
qaafila tera legaya dil saath mein
lihaaz mere lehje ka na kiya kabhi,
nazakat ahsaan teri baaton ki narmi mein thi
hamraaz banega mera tu iski toh khabar nahi,
nafs toh aakhir tere dedaar ko tarsega
Comments
Post a Comment